Debit Card kya hai aur Kitne types ke hote hai?

Debit Card kya hai aur Kitne types ke hote hai?

Digital India me cashless payment ke bohot se wikalp maujood hai. Unhi me se ek hai DEBIT CARD. DEBIT CARD online payment aue ATM se Cash withdraw karne me sabse jyada istemaal kiya jata hai. ishke upyoag se aap cashless payment badi hi aasani aur surakchit tarike se kar sakte hai. Agar appko nahi malum DEBIT CARD kya hai? aur iska upyoag kaise karte hai ? to aap hamari ish post jarur pura padhe...

Debit Card kya hai aur Kitne types ke hote hai?

DEBIT CARD kya hai?

Debit card Bank dwara zari ek prepaid card hai jo humare bank Account se Link hota hai. koi bhi person jiska Bank me account hai Debit card banwane ke liye aawedan (Application) kar sakta hai. Debit card bilkul ATM card ki tarh hi kaam karta hai isse aap Atm se paise nikal sakte, online shopping sites par payment kar sakte hai, Pos terminal par card swap kar payment kar sakta hai aur Bank balance check kar sakte hai.

Debit card ki jaankari?

Debit card bilkul Atm ya Credit card ki tarah hi dikhta hai. Ish card par bohot sari jankari likhi rahti hai jaise...

Debit Card kya hai aur Kitne types ke hote hai?
16 digit card number
Cardholder name
Expiry date
3 digit Cvv number




●Debit card se transaction karne ke liye apko Ek 4 digit pin ki jarurat padti hai. ish pin ko hamesha confidential rakhe.

Types of Debit Card in India 2018

India me mukhyata four types ke debit card uplabdh hai jo nimn parkar hai..

Debit Card kya hai aur Kitne types ke hote hai?
Maestro Debit Card
Master Debit Card
Visa Debit Card

Tips to use your debit card safely 2018

Debit card ko ishtemaal karte samai appko kuch sawdhani rakhni chahiye jisse aap banking fraud se bach sakte hai.

  1. Kabhi bhi apna four digit ka transaction pin kiai ko bhi na bataye. phone call, sms ya Email dwara otp puche jaane par kabhi mat bataye. yadi apko bank ka admi batakar koi pin ya OTP puche to bhi use ye jankari kabhi naa de kyuki Bank kabhi apse OTP ya PIN ke liye phone nahi karta.
  2. Unknown sites par kabhi bhi apne card ki information share naa kare. hamesa secure sites (https) se hi shopping kare.
  3. Bohot purane ya sunsaan jagah ke ATM ka paryoag naa kare, nahi to ho sakta hai aap Card scamming ke sikaar ho jaye.
  4. Bank me apna mobile no. register kare jisse har lenden (transaction) ki suchna ka SMS apko mobile par milta rahe.

Post a Comment

0 Comments

thecommerceworld YouTube Channel