Rupay Debit card kya hai?

Rupay Debit card kya hai aur iske Faiyde ?

Hello dosto, waise to app daily bank ke issue kiye gaye Atm card ka paryoag (use) karte honge. Visa, master, mastro, lekin Ajj hum swadeshi payment system par aadharit Rupay Debit card ke baare me baat karenge. Ajj hum janenge ki..
  1. Rupay debit card kya hai?
  2. RUPAY debit Card Ke Faiyde (benefits)
  3. Rupay debit card ki simaa (limitation)
  4. Rupay debit card par Batta ya laabh (Discounts & Profits)
  5. Rupay debit cum atm Card ki surakcha kaise kare (safety)
Rupay debit card, Rupay card, Rupay cum debit card, debit card
Rupay Debit card kya hai aur iske Faiyde ?


Rupay debit card kya hai?

Rupay debit Card swadeshi bhugataan pranaale joki NPCI dwara sanchalit hai, par aadhaarit bharat (India) ka apana debit ya ATM Card hai. Jo bilakul visa, master ya mestro ATM Card ki tarah hee kaam karta hai. Rupay Card 2011 mein launch kiya gaya tha. Rupay shabd do shabd se milakar bana hai RU + PAY yaha Ru ka matlab Bhartiye mudra ( Indian currency) yanee Rupya (Rupees) se hai aur PAY ka matalab bhugataan (Payments) se hai. suruwaat me Rupay debit card itna chalan me nahi tha lekin JAN-DHAN Account khulne ke baad shabhi khatadhariyo ( Account holders) ko free me Rupay Debit card bhi diya gaya hai jisse iska istemaal tezi se badha . Notebandi (demonetisation) ke baad se to inke ishtemal (use) me aur bhi tezi se ijaafaa huwa hai.

Jaisa ki Humne Bataya ki Rupay Card swadeshi ATM Card Hai aur visa, Master ya others koi Card videshi bhugtan pranali (foreign payment system) par Adharit hai. Videshi bhugtan pranali par adharit hone k karan inki Processing Fee Jyada hai. Lekin RUPAY debit Card kyuki Swadehi System par aadharit hai ishliye inki Processing Fee kam bhi hai. India me Digital len-den ko bahadhwa dene ke liye RUPAY debit Card ek important role nibha raha hai kyuki kam Processing Fee ke karan chote wayapari (Small Trader) bhi iske jariye aasani se Payment le Sakte hai.

RUPAY debit Card Ke Faiyde.


  1. Rupay debit Card ke jariye aap pure India me kisi bhi bank ke ATM se paise nikal (Withdrew) sakte hai.
  2. Rupay debit card, debit card ki trah hi kaam karta hai jiske jariye se app Pos Machine me card swap karke Cash nikal (withdrew) kar sakte hai.
  3. Rupay debit card ke jariye aap online shopping site par bhi bhugtan (payment) kar sakte hai. Ajj India me lagbhag har shopping sites Rupay Card se payment swikaar (accept) kar rahi hai.
  4. Rupay Debit card ke jariye app online Mobile Recharge, DTH recharge, Electricity Bill ya anay koi utility Bill ka bhugtan ( payment) kar sakte hai.
  5. Rupay debit card kyuki swadeshi bhugtan paranali (swadeshi payment system) par aadharit hai, ishliye ishka Use videsh card ( foreign card) ki tulna me jayada surachit (safe) aur vishwashniye hai.
  6. Swadeshi bhugtaan paranali (swadeshi payment system) par aadharit hone ke karan iski Processing Fee bhi kam hai joki aapke liye fayde ka sawda hai.


Rupay debit card ki simaa (limitation)

Bohot saari vishesta (characteristics) hone ke bawajood Rupay debit card ki kuch simaa (Limitation) bhi hai. Example - Rupay Debit card ka ishtemaal aap sirf apne desh yani India me kar sakte hai bahar ke mulk me nhi. kahne ka matlab yah hai ki videshi Atm (Foreign Atm) par aap iska paryoag nahi kar sakte hai. Bohot si shopping sites rupay card se payment Receive nahi karti waha app Rupay debit card ka upyoag nahi kar sakte hai.

Rupay debit card par Batta ya laabh (Discounts & Profits)

Rupay debit card par kayi tarah ke discount aur profits milte hai. Free insurance ke aalawa ish card par fuel surcharge par discounts, Railway surcharge par discounts aur kayi payment wallets par discounts aur Cashback milti hai.

Rupay debit cum atm Card ki surakcha (safety)

Apne Rupay debit cum atm card dawara paradan kiye gaye profits aur discounts ka anand lene ke liye yah jaroori hai ki app apne Rupay debit cum atm card surakchit (safety) rakhe. Niyamit antraal me Rupay Debit cum atm Card ka Pin change Karke app apney Rupay debit card ko surakchit (safe) rakh sakte hai. Iske alawa, appko kisi ko bhi apne Rupay debit cum atm card ka Pin Number kisi ko nahi batana chahiye. Jab app Rupay debit cum atm card ko Pos swap Machine par use karte hai to apna pin gupt roop se entre kare. Anadhikrit kendro ( unauthorized centre) par apne Rupay debit cum atm card ka upyoag na kare aur card par apna pin kabhi bhi na likhe.


Antim sabd:

Kul milakar dekha jaye to yaadi aap india me rahte hai to Rupay Debit Card apke liye faiydemand hai, kyuki adhiktar hum card ka ishtemal (USE) ATM card se paise nikalne ( withdrew) ke liye hi karte hai aur iska charge bhi kam hai. Present me app lagbhag har bank apne customer ko Rupay debit card issue karte hai, yadi aapke paas Rupay Debit Atm Card nahi hai toh apne bank ke branch me contact kar bana sakte hai.dosto app apne vicharo ko comment me share jaroor kare.

ye bhi padhe:-
HAZARIBAG HILL STATION-EK JHALAK 2019
B.COM (HONS) SYLLABUS AND SUBJECT VBU-2018
Meaning of Depreciation and Methods
Partnership meaning-Hindi me
UGC NET EXAM 2018-NTA



Post a Comment

0 Comments

thecommerceworld YouTube Channel